Dr. Azam

KHuda bhi jaanta hai KHub jo makkar baiThe hain

Dr. Azam

Ballia, Uttar pradesh, India

1963
ḳhudā bhī jāntā hai ḳhuub jo makkār baiThe haiñ
haram meñ sar-nigūñ kuchh qābil-e-finnār baiThe haiñ
gharoñ meñ saath baiThe haiñ sar-e-bāzār baiThe haiñ
naqāb apnoñ kā oḌhe āj-kal aġhyār baiThe haiñ
mohabbat kī nazar meñ jiit lī hai ham ne vo baazī
zamāne kī nazar meñ ham ki jis ko haar baiThe haiñ
ḳhatā ho jaa.e ham se jo koī to darguzar karnā
tumhārī bazm meñ ham aaj pahlī baar baiThe haiñ
zamīñ se yā falak se yā ki apnoñ se ki ġhairoñ se
batā.eñ kis tarah kis kis se ham bezār baiThe haiñ
yahī jamhūriyat kā naqs hai jo taḳht-e-shāhī par
kabhī makkār baiThe haiñ kabhī ġhaddār baiThe haiñ
adab kī mahfiloñ meñ ab kahāñ jamm-e-ġhafīr 'āzam'
yahāñ do-chār baiThe haiñ vahāñ do-chār baiThe haiñ
Top Urdushayar.com