mohabbat meñ ārām sab chāhte haiñ
magar hazrat-e-'dāġh' kab chāhte haiñ
ḳhatā kyā hai un kī jo us but ko chāhā
ḳhudā chāhtā hai to sab chāhte haiñ
vahī un kā matlūb o mahbūb Thahrā
bajā hai jo us kī talab chāhte haiñ
magar ālam-e-yās meñ tañg aa kar
ye sāmān-e-āfat ajab chāhte haiñ
ajal kī duā har ghaḌī māñgte haiñ
ġham-o-dard-o-rañj-o-ta.ab chāhte haiñ
na tafrīh-e-āsā.ish-e-dil kī ḳhvāhish
na sāmān-e-aish-o-tarab chāhte haiñ
qayāmat bapā ho nuzūl-e-balā ho
yahī āj-kal roz o shab chāhte haiñ
na māshūq-e-farḳhār se un ko matlab
na ye jām-e-bintul-inab chāhte haiñ
na jannat kī hasrat na hūroñ kī parvā
na koī ḳhushī kā sabab chāhte haiñ
nirālī tamannā hai ahl-e-karam se
sitam chāhte haiñ ġhazab chāhte haiñ
na ho koī āgāh rāz-e-nihāñ se
ḳhamoshī ko ye mohr-e-lab chāhte haiñ
ḳhudā un kī chāhat se mahfūz rakkhe
ye āzār bhī muntaḳhab chāhte haiñ
ġham-e-ishq meñ 'dāġh' majbūr ho kar
kabhī jo na chāhā vo ab chāhte haiñ