phir shab-e-ġham ne mujhe shakl dikhā.ī kyūñkar
ye balā ghar se nikālī huī aa.ī kyūñkar
kaT sake saḳhti-e-ayyām-e-judā.ī kyūñkar
ġhair ko aa.e ilāhī mirī aa.ī kyūñkar
tū ne kī ġhair se kal merī burā.ī kyūñkar
gar na thī dil meñ to lab par tire aa.ī kyūñkar
na kahūñgā na kahūñgā na kahūñgā hargiz
jā ke us bazm meñ shāmat mirī aa.ī kyūñkar
khul ga.ī baat jab un kī to vo pūchhte haiñ
muñh se niklī huī hotī hai parā.ī kyūñkar
dād-ḳhvāhoñ se vo kahte haiñ ki ham bhī to suneñ
doge tum hashr meñ sab mil ke duhā.ī kyūñkar
tum dil-āzār o sitamgar nahīñ maiñ ne maanā
maan jā.egī ise saarī ḳhudā.ī kyūñkar
nā-gahāñ shikva-e-bedād to kar baiThe ham
ab ye hai fikr kareñ un se safā.ī kyūñkar
aap meñ bhī to rahī ātish-e-tar kī tezī
aag paanī meñ ye saaqī ne lagā.ī kyūñkar
allāh allāh butoñ ko hai ye dast-e-qudrat
un kī muTThī meñ rahī saarī ḳhudā.ī kyūñkar
vo yahāñ aa.eñ vahāñ ġhair kā ghar ho barbād
is tarah se ho safā.ī meñ safā.ī kyūñkar
majlis-e-vāz ko dekhā to kahā rindoñ ne
hogī is bhiiḌ kī jannat meñ samā.ī kyūñkar
ā.īna dekh kar vo kahne lage aap hī aap
aise achchhoñ kī kare koī burā.ī kyūñkar
kasrat-e-ranj-o-alam sun ke ye ilzām milā
itne se dil meñ hai itnoñ kī samā.ī kyūñkar
us ne sadqe meñ kiye aaj hazāroñ āzād
dekhiye hotī hai āshiq kī rihā.ī kyūñkar
'dāġh' ko mehr kahā ashk ko dariyā ham ne
aur phir karte haiñ chhoToñ kī baḌā.ī kyūñkar
'dāġh' kal to duā aap kī maqbūl na thī
aaj muñh-māñgī murād aap ne paa.ī kyūñkar