kaabe kī hai havas kabhī kū-e-butāñ kī hai
mujh ko ḳhabar nahīñ mirī miTTī kahāñ kī hai
sun ke mirā fasāna unheñ lutf aa gayā
suntā huuñ ab ki roz talab qissa-ḳhvāñ kī hai
paiġhām-bar kī baat par aapas meñ ranj kyā
merī zabān kī hai na tumhārī zabāñ kī hai
kuchh tāzgī ho lazzat-e-āzār ke liye
har dam mujhe talāsh na.e āsmāñ kī hai
jāñ-bar bhī ho ga.e haiñ bahut mujh se nīm-jāñ
kyā ġham hai ai tabīb jo puurī vahāñ kī hai
hasrat baras rahī hai hamāre mazār par
kahte haiñ sab ye qabr kisī naujavāñ kī hai
vaqt-e-ḳhirām-e-nāz dikhā do judā judā
ye chaal hashr kī ye ravish āsmāñ kī hai
fursat kahāñ ki ham se kisī vaqt tū mile
din ġhair kā hai raat tire pāsbāñ kī hai
qāsid kī guftugū se tasallī ho kis tarah
chhuptī nahīñ vo baat jo terī zabāñ kī hai
jaur-e-raqīb o zulm-e-falak kā nahīñ ḳhayāl
tashvīsh ek ḳhātir-e-nā-mehrbāñ kī hai
sun kar mirā fasāna-e-ġham us ne ye kahā
ho jaa.e jhuuT sach yahī ḳhūbī bayāñ kī hai
dāman sambhāl bāñdh kamar āstīñ chaḌhā
ḳhanjar nikāl dil meñ agar imtihāñ kī hai
har har nafas meñ dil se nikalne lagā ġhubār
kyā jaane gard-e-rāh ye kis kārvāñ kī hai
kyūñki na aate ḳhuld se aadam zamīn par
mauzūñ vahīñ vo ḳhuub hai jo sunte jahāñ kī hai
taqdīr se ye pūchh rahā huuñ ki ishq meñ
tadbīr koī bhī sitam-e-nā-gahāñ kī hai
urdu hai jis kā naam hamīñ jānte haiñ 'dāġh'
hindostāñ meñ dhuum hamārī zabāñ kī hai