haath nikle apne donoñ kaam ke
dil ko thāmā un kā dāman thaam ke
ghūñT pī kar bāda-e-gulfām ke
bose le letā huuñ ḳhālī jaam ke
raat din phirtā hai kyuuñ ai charḳh-e-pīr
tere din haiñ rāhat o ārām ke
is nazākat kā burā ho bazm se
uThte haiñ vo dast-e-dushman thaam ke
chashm-e-mast-e-yār kī ik dhuum hai
aaj kal haiñ daur daur-e-jām ke
yā jigar meñ yā rahegā dil meñ tiir
ye hī do goshe to haiñ ārām ke
vo kareñ uzr-e-vafā achchhī kahī
mujh pe radde rakhte haiñ ilzām ke
jab qadam kaabe se rakkhā sū-e-dair
taar uljhe jāma-e-ehrām ke
ḳhush haiñ vo daur-e-falak se aaj kal
din phire haiñ gardish-e-ayyām ke
aa gayā hai bhuul kar ḳhat is taraf
vo to āshiq haiñ mire hamnām ke
haath se sayyād ke gir kar chhurī
kaT ga.e halqe hamāre daam ke
qāsidoñ ke muntazir rahne lage
paḌ ga.e un ko maze paiġhām ke
kyā kisī dargāh meñ jaanā hai aaj
sub.h se sāmān haiñ hammām ke
pūchhte haiñ hazrat-e-zāhid se rind
daam kyā haiñ jāma-e-ehrām ke
lab utar aa.e haiñ vo tārīf par
ham jo aadī ho ga.e dushnām ke
dāva-e-ishq-o-vafā par ye kahā
sab bajā lekin mire kis kaam ke
ban-sañvar kar kab bigaḌtā hai banāo
sub.h tak rahte haiñ jalve shaam ke
jaur se yā lutf se puurā kiyā
aap pīchhe paḌ ga.e jis kaam ke
hai gadā-e-mai-kada bhī kyā harīs
bhar liye jholī meñ TukḌe jaam ke
naala o fariyād kī tāqat kahāñ
baat kartā huuñ kalejā thaam ke
ḳhūgar-e-bedād ko rāhat hai maut
bhāgtā huuñ naam se ārām ke
'dāġh' ke sab harf likhte haiñ judā
TukḌe kar Daale hamāre naam ke