Dagh Dehlvi

bhala ho pir-e-mughan ka idhar nigah mile

Dagh Dehlvi

Delhi, India

1831-1905
bhalā ho pīr-e-muġhāñ kā idhar nigāh mile
faqīr haiñ koī chullū ḳhudā kī raah mile
kahāñ the raat ko ham se zarā nigāh mile
talāsh meñ ho ki jhūTā koī gavāh mile
qarīb-e-mai-kada mujh ko jo ḳhānqāh mile
gale savāb ke kyā kyā mire gunāh mile
vo roz-e-hashr hai duniyā nahīñ ki raah mile
kahāñ chhupoge jo do chaar dād-ḳhvāh mile
mirī ḳharābī meñ aa kar vo chaukḌī bhūle
ki phir na ḳhāna-ḳharābī ko ghar kī raah mile
tirā dil aa.e kisī par to arsh hil jaa.e
asar talāsh meñ hai is tarah kī aah mile
tumhāre kūche meñ har roz vo qayāmat hai
ki saaya DhūñD rahā hai kahīñ panāh mile
tirā ġhurūr samāyā hai is qadar dil meñ
nigāh bhī na milā.ūñ jo bādshāh mile
sar-barahna majnūñ pe āshiyāñ hai taaj
na rakkhe sar pe jo faġhfūr kī kulāh mile
falak kī tarah jafā.eñ na kījiye har roz
isī qadar hai ye ne.amat jo gaah gaah mile
tumhāre husn se kyā rutba māh-e-kan.āñ ko
vahī to chāñd jise Dūbne ko chaah mile
sab ahl-e-hashr jab apne kiye ko pā.eñge
baḌā mazā ho jo mujh ko mirā gunāh mile
karūñ maiñ arz agar jaan kī amaañ pā.ūñ
kahūñ pate kī agar qahr se panāh mile
ye hai maze kī laḌā.ī ye hai maze kā milāp
ki tujh se aañkh laḌī aur phir nigāh mile
huā hai dard-e-jigar se ye ghar mirā tārīk
ki maut DhūñDtī phirtī hai koī raah mile
na us ko sabr na tāsīr kā patā yā rab
jalā diyā hai mujhe ḳhaak meñ ye aah mile
balā se dāva-e-ulfat na pesh karte ham
mile hue haiñ jo dushman se vo gavāh mile
Thahar na aah mirī jaan le ke chalte ho
safar kare jo musāfir ko zād-e-rāh mile
masal sunī hai ki milne se koī miltā hai
milo to aañkh mile dil mile nigāh mile
qamar ko jāma-e-shab to basar ko parda-e-chashm
ka.ī libās tire nuur ko siyāh mile
asar kahāñ se mile jab ye phuuT ho bāham
alag alag rahe donoñ na harf-e-āh mile
lagā ke paañv meñ us ke uḌā.ūñ qāsid ko
agar mujhe tire tausan kī gard-e-rāh mile
is inqalāb meñ DhūñDo jo mushk aur kāfūr
to ye safed mile aur vo siyāh mile
naved-e-baḳhshish-e-isyāñ use sunā denā
jo sharmsār kahīñ 'dāġh'-e-rū-siyāh mile
Top Urdushayar.com