un ke ik jāñ-nisār ham bhī haiñ
haiñ jahāñ sau hazār ham bhī haiñ
tum bhī bechain ham bhī haiñ bechain
tum bhī ho be-qarār ham bhī haiñ
ai falak kah to kyā irāda hai
aish ke ḳhvāst-gār ham bhī haiñ
khīñch lā.egā jazb-e-dil un ko
hama tan intizār ham bhī haiñ
bazm-e-dushman meñ le chalā hai dil
kaise be-iḳhtiyār ham bhī haiñ
shahr ḳhālī kiye dukāñ kaisī
ek hī bāda-ḳhvār ham bhī haiñ
sharm samjhe tire taġhāful ko
vaah kyā hoshiyār ham bhī haiñ
haath ham se milāo ai muusā
āshiq-e-rū-e-yār ham bhī haiñ
ḳhvāhish-e-bāda-e-tuhūr nahīñ
kaise parhez-gār ham bhī haiñ
tum agar apnī guuñ ke ho ma.ashūq
apne matlab ke yaar ham bhī haiñ
jis ne chāhā phañsā liyā ham ko
dilbaroñ ke shikār ham bhī haiñ
aa.ī mai-ḳhāne se ye kis kī sadā
laao yāroñ ke yaar ham bhī haiñ
le hī to legī dil nigāh tirī
har tarah hoshiyār ham bhī haiñ
idhar aa kar bhī fātiha paḌh lo
aaj zer-e-mazār ham bhī haiñ
ġhair kā haal pūchhiye ham se
us ke jalse ke yaar ham bhī haiñ
kaun sā dil hai jis meñ 'dāġh' nahīñ
ishq meñ yādgār ham bhī haiñ