Dagh Dehlvi

ranj ki jab guftugu hone lagi

Dagh Dehlvi

Delhi, India

1831-1905
ranj kī jab guftugū hone lagī
aap se tum tum se tū hone lagī
chāhiye paiġhām-bar donoñ taraf
lutf kyā jab dū-ba-dū hone lagī
merī rusvā.ī kī naubat aa ga.ī
un kī shohrat kū-ba-kū hone lagī
hai tirī tasvīr kitnī be-hijāb
har kisī ke rū-ba-rū hone lagī
ġhair ke hote bhalā ai shām-e-vasl
kyuuñ hamāre rū-ba-rū hone lagī
nā-ummīdī baḌh ga.ī hai is qadar
aarzū kī aarzū hone lagī
ab ke mil kar dekhiye kyā rañg ho
phir hamārī justujū hone lagī
'dāġh' itrā.e hue phirte haiñ aaj
shāyad un kī aabrū hone lagī
Top Urdushayar.com