Dr. Azam

shauq baqi nahin baqi nahin ab josh-o-KHarosh

Dr. Azam

Ballia, Uttar pradesh, India

1963
shauq baaqī nahīñ baaqī nahīñ ab josh-o-ḳharosh
din vo pur-kaif the jab ham the sarāsar mad.hosh
maslahat josh-e-baġhāvat ko dabā detī hai
dil dhaḌaktā hai magar dil kī sadā.eñ ḳhāmosh
ab koī sūrat-e-guftār nazar aatī nahīñ
vo bhī ḳhāmosh mirā radd-e-amal bhī ḳhāmosh
terī raftār lagātār ho kachhue kī tarah
varna rah jā.egā tū raah meñ misl-e-ḳhargosh
ziist kī raah pe tanhā na kabhī chal paayā
ġham-e-jānāñ ġham-e-daurāñ bhī rahe dosh-ba-dosh
sāmnā dahr kā tanhā use ab karne de
paañv meñ beTe ke aane lage terī pā-posh
bazm-e-urdu se huī der bahut aa.e hue
ab talak saañs meñ ḳhushbū hai mo.attar haiñ gosh
ab to ghar-bār meñ lagtā hī nahīñ dil 'āzam'
aisā lagtā hai ki ho jā.eñge ham ḳhāna-ba-dosh
Top Urdushayar.com