Dagh Dehlvi

jalwe meri nigah mein kaun-o-makan ke hain

Dagh Dehlvi

Delhi, India

1831-1905
jalve mirī nigāh meñ kaun-o-makāñ ke haiñ
mujh se kahāñ chhupeñge vo aise kahāñ ke haiñ
khulte nahīñ haiñ raaz jo soz-e-nihāñ ke haiñ
kyā phūTne ke vāste chhāle zabāñ ke haiñ
karte haiñ qatl vo talab-e-maġhfirat ke ba.ad
jo the duā ke haath vahī imtihāñ ke haiñ
jis roz kuchh sharīk huī merī musht-e-ḳhāk
us roz se zamīñ pe sitam āsmāñ ke haiñ
baazū dikhā.e tum ne lagā kar hazār haath
puure paḌe to vo bhī bahut imtihāñ ke haiñ
nāseh ke sāmne kabhī sach boltā nahīñ
merī zabāñ meñ rañg tumhārī zabāñ ke haiñ
kaisā javāb hazrat-e-dil dekhiye zarā
paiġhām-bar ke haath meñ TukḌe zabāñ ke haiñ
kyā iztirāb-e-shauq ne mujh ko ḳhajil kiyā
vo pūchhte haiñ kahiye irāde kahāñ ke haiñ
āshiq tire adam ko ga.e kis qadar tabāh
pūchhā har ek ne ye musāfir kahāñ ke haiñ
har-chand 'dāġh' ek hī ayyār hai magar
dushman bhī to chhaTe hue saare jahāñ ke haiñ
Top Urdushayar.com