dil mubtalā-e-lazzat-e-āzār hī rahā
marnā firāq-e-yār meñ dushvār hī rahā
har dam ye shauq thā use qurbān kījiye
maiñ vasl meñ bhī jaan se be-zār hī rahā
ehsān-e-afv-e-jurm se vo sharmsār huuñ
baḳhshā gayā maiñ to bhī gunahgār hī rahā
hotī haiñ har tarah se mirī pāsdāriyāñ
dushman ke paas bhī vo mirā yaar hī rahā
din pahluoñ se Taal diyā kuchh na kah sake
har chand un ko vasl kā inkār hī rahā
zāhid kī tauba tauba rahī ghūñT ghūñT par
sau botaleñ uḌā ke bhī hushyār hī rahā
dekhīñ hazār rashk-e-masīhā kī sūrateñ
achchhā rahā jo ishq kā bīmār hī rahā
sadqe meñ tum ne chhoḌ diye haiñ bahut asiir
maiñ bhī rihā huā ki giraftār hī rahā
lazzat vafā meñ hai na kisī kī jafā meñ hai
dildār hī rahā na dil-āzār hī rahā
jalve ke baad vasl kī ḳhvāhish zarūr thī
vo kyā rahā jo āshiq-e-dīdār hī rahā
kahte haiñ jal ke ġhair mohabbat se 'dāġh' kī
māshūq us ke paas vafādār hī rahā