zāhid na kah burī ki ye mastāne aadmī haiñ
tujh ko lipaT paḌeñge dīvāne aadmī haiñ
ġhairoñ kī dostī par kyuuñ e'tibār kiije
ye dushmanī kareñge begāne aadmī haiñ
jo aadmī pe guzrī vo ik sivā tumhāre
kyā jī lagā ke sunte afsāne aadmī haiñ
kyā jur.ateñ jo ham ko darbāñ tumhārā Toke
kah do ki ye to jāne-pahchāne aadmī haiñ
mai buuñd bhar pilā kar kyā hañs rahā hai saaqī
bhar bhar ke piite āḳhir paimāne aadmī haiñ
tum ne hamāre dil meñ ghar kar liyā to kyā hai
ābād karte āḳhir vīrāne aadmī haiñ
nāseh se koī kah de kiije kalām aisā
hazrat ko tā ki koī ye jaane aadmī haiñ
jab dāvar-e-qayāmat pūchhegā tum pe rakh kar
kah deñge saaf ham to begāne aadmī haiñ
maiñ vo bashar ki mujh se har aadmī ko nafrat
tum sham.a vo ki tum par parvāne aadmī haiñ
mahfil bharī huī hai saudā.iyoñ se us kī
us ġhairat-e-parī par dīvāne aadmī haiñ
shābāsh 'dāġh' tujh ko kyā teġh-e-ishq khaa.ī
jī karte haiñ vahī jo mardāne aadmī haiñ