khultā nahīñ hai raaz hamāre bayān se
lete haiñ dil kā kaam ham apnī zabān se
kyā lazzat-e-visāl adā ho bayān se
sab harf chipke jaate haiñ merī zabān se
mash.hūr rāz-e-ishq hai kis ke bayān se
merī zabān se ki tumhārī zabān se
fitna banā zamīn pe har zarra ḳhaak kā
nikle haiñ bahr-e-sair vo jis dam makān se
us din se mujh ko niiñd na aa.ī tamām umr
ik shab milī thī aañkh tire pāsbān se
ye ḳhaak meñ milā.e to vo ho sitam-sharīk
mujh ko zamīñ se laag unheñ āsmān se
lenā sambhālnā ki mire hosh uḌ chale
aatā hai koī mast qayāmat kī shaan se
mujh se nazar milā ke tum abrū meñ bal na do
sīdhā chalegā tiir na TeḌhī kamān se
bāzār-e-ishq meñ haiñ bahut dil jagah jagah
dekheñ vo mol lete haiñ kis kī dukān se
shorīda-sar vo huuñ ki use sar se toḌ duuñ
gar sañg-e-hādsa bhī gire āsmān se
arzāñ kare faroḳht agar mai-farosh-e-ishq
lene lageñ farishte bhī us kī dukān se
guzrī hai āzmā.ish-e-mahr-o-vafā meñ umr
fursat mujhe milī na kabhī imtihān se
dil bhī bachā jigar bhī bachā ḳhair ho ga.ī
tīr-e-nigāh paar huā darmiyān se
maiñ tum ko nāgavār huuñ dil mujh ko nāgavār
tum mujh se tañg aur huuñ maiñ tañg jaan se
haañ haañ tirā raqīb se be-shak hai rabt-zabt
rutba yaqīn kā hai ziyāda gumān se
mehr-o-vafā kā naam hai ab baat baat par
ye sun liyā hai aap ne kis kī zabān se
kaisā khilā hai phuul jab aayā bahār par
pūchhe to koī lutf-e-javānī javān se
dānista aate jātoñ se laḌtā hai raat din
phir ho paḌī thī aaj tire pāsbān se
is ḳhūb-rū ko bazm-e-hasīnāñ meñ dekhiye
kartā hai ān-bān baḌī ān-tān se
ai 'dāġh' is kī ḳhair manātā hai aadmī
koī aziiz baḌh ke nahīñ apnī jaan se