Dagh Dehlvi

uske dar tak kise rasai hai

Dagh Dehlvi

Delhi, India

1831-1905
us ke dar tak kise rasā.ī hai
vo hī jā.egā jis kī aa.ī hai
baat ik dil meñ mere aa.ī hai
gar kahūñ to abhī laḌā.ī hai
dūsrī jaan hai tirī ulfat
ek khoī hai ek paa.ī hai
bhar diyā zaḳhm meñ namak us ne
ye duā-go kī muñh-bharā.ī hai
sach hai be-aib hai ḳhudā kī zaat
tujh meñ kyā jaane kyā burā.ī hai
ai lab-e-yār tujh ko merī qasam
kabhī sachchī qasam bhī khaa.ī hai
us ke dar tak pahuñch gayā qāsid
aage taqdīr kī rasā.ī hai
qatl kartī hai guftugū un kī
baat meñ baat kī safā.ī hai
'dāġh' ab vasl kā visāl huā
yaar zinda ġham-e-judā.ī hai
Top Urdushayar.com