Dagh Dehlvi

jab wo but ham-kalam hota hai

Dagh Dehlvi

Delhi, India

1831-1905
jab vo but ham-kalām hotā hai
dil o diiñ kā payām hotā hai
un se hotā hai sāmnā jis din
duur hī se salām hotā hai
dil ko rokūñ ki chashm-e-giryāñ ko
ek hī ḳhuub kaam hotā hai
aap haiñ aur majma-e-aġhyār
roz darbār-e-ām hotā hai
ziist se tañg haiñ na chheḌ hameñ
dekh ġhussa harām hotā hai
liije muusā se lan-tarānī kī
ab to ham se kalām hotā hai
'dāġh' kā naam sun ke vo bole
aadmī kā ye naam hotā hai
Top Urdushayar.com