Dagh Dehlvi

ye baat baat mein kya nazuki nikalti hai

Dagh Dehlvi

Delhi, India

1831-1905
ye baat baat meñ kyā nāzukī nikaltī hai
dabī dabī tire lab se hañsī nikaltī hai
Thahar Thahar ke jalā dil ko ek baar na phūñk
ki is meñ bū-e-mohabbat abhī nikaltī hai
bajā.e shikva bhī detā huuñ maiñ duā us ko
mirī zabāñ se karūñ kyā yahī nikaltī hai
ḳhushī meñ ham ne ye shoḳhī kabhī nahīñ dekhī
dam-e-itāb jo rañgat tirī nikaltī hai
hazār baar jo māñgā karo to kyā hāsil
duā vahī hai jo dil se kabhī nikaltī hai
adā se terī magar khiñch rahīñ haiñ talvāreñ
nigah nigah se chhurī par chhurī nikaltī hai
muhīt-e-ishq meñ hai kyā umiid o biim mujhe
ki Duub Duub ke kashtī mirī nikaltī hai
jhalak rahī hai sar-e-shāḳh-e-mizha ḳhuun kī buuñd
shajar meñ pahle samar se kalī nikaltī hai
shab-e-firāq jo khole haiñ ham ne zaḳhm-e-jigar
ye intizār hai kab chāñdnī nikaltī hai
samajh to lījiye kahne to dījiye matlab
bayāñ se pahle hī mujh par chhurī nikaltī hai
ye dil kī aag hai yā dil ke nuur kā hai zuhūr
nafas nafas meñ mire raushnī nikaltī hai
kahā jo maiñ ne ki mar jā.ūñgā to kahte haiñ
hamāre zā.iche meñ zindagī nikaltī hai
samajhne vaale samajhte haiñ pech kī taqrīr
ki kuchh na kuchh tirī bātoñ meñ fī nikaltī hai
dam-e-aḳhīr tasavvur hai kis parī-vash kā
ki merī ruuh bhī ban kar parī nikaltī hai
sanam-kade meñ bhī hai husn ik ḳhudā.ī kā
ki jo nikaltī hai sūrat parī nikaltī hai
mire nikāle na niklegī aarzū merī
jo tum nikālnā chāho abhī nikaltī hai
ġham-e-firāq meñ ho 'dāġh' is qadar betāb
zarā se ranj meñ jaañ aap kī nikaltī hai
Top Urdushayar.com