baaqī jahāñ meñ qais na farhād rah gayā
afsāna āshiqoñ kā faqat yaad rah gayā
ye saḳht-jāñ to qatl se nāshād rah gayā
ḳhanjar chalā to bāzū-e-jallād rah gayā
pābandiyoñ ne ishq kī bekas rakhā mujhe
maiñ sau asīrīyoñ meñ bhī āzād rah gayā
chashm-e-sanam ne yuuñ to bigāḌe hazār ghar
ik ka.aba chand roz ko ābād rah gayā
mahshar meñ jā-e-shikva kiyā shukr yaar kā
jo bhūlnā thā mujh ko vahī yaad rah gayā
un kī to ban paḌī ki lagī jaan muft haath
terī girah meñ kyā dil-e-nāshād rah gayā
pur-nūr ho rahegā ye zulmat-kada agar
dil meñ butoñ kā shauq-e-ḳhudā-dād rah gayā
yuuñ aañkh un kī kar ke ishāra palaT ga.ī
goyā ki lab se ho ke kuchh irshād rah gayā
nāseh kā jī chalā thā hamārī tarah magar
ulfat kī dekh dekh ke uftād rah gayā
haiñ tere dil meñ sab ke Thikāne bure bhale
maiñ ḳhānumāñ-ḳharāb hī barbād rah gayā
vo din ga.e ki thī mire siine meñ kuchh ḳharāsh
ab dil kahāñ hai dil kā nishāñ yaad rah gayā
sūrat ko terī dekh ke khiñchtī hai jān-e-ḳhalq
dil apnā thaam thaam ke bahzād rah gayā
ai 'dāġh' dil hī dil meñ ghule zabt-e-ishq se
afsos shauq-e-nāl-o-fariyād rah gayā