Dagh Dehlvi

KHatir se ya lihaz se main man to gaya

Dagh Dehlvi

Delhi, India

1831-1905
ḳhātir se yā lihāz se maiñ maan to gayā
jhūTī qasam se aap kā īmān to gayā
dil le ke muft kahte haiñ kuchh kaam kā nahīñ
ulTī shikāyateñ huiiñ ehsān to gayā
Dartā huuñ dekh kar dil-e-be-ārzū ko maiñ
sunsān ghar ye kyuuñ na ho mehmān to gayā
kyā aa.e rāhat aa.ī jo kunj-e-mazār meñ
vo valvala vo shauq vo armān to gayā
dekhā hai but-kade meñ jo ai shaiḳh kuchh na pūchh
īmān kī to ye hai ki īmān to gayā
ifshā-e-rāz-e-ishq meñ go zillateñ huiiñ
lekin use jatā to diyā jaan to gayā
go nāma-bar se ḳhush na huā par hazār shukr
mujh ko vo mere naam se pahchān to gayā
bazm-e-adū meñ sūrat-e-parvāna dil mirā
go rashk se jalā tire qurbān to gayā
hosh o havās o taab o tavāñ 'dāġh' jā chuke
ab ham bhī jaane vaale haiñ sāmān to gayā
Top Urdushayar.com