Dr. Azam

meri miTTi mein jab na tha patthar

Dr. Azam

Ballia, Uttar pradesh, India

1963
merī miTTī meñ jab na thā patthar
kaise kah duuñ ki hai ḳhudā patthar
sho.ala-e-ishq kā asar tauba
mom jaisā pighal gayā patthar
jab bhī bazm-e-ḳhirad meñ aayā maiñ
aql par merī paḌ gayā patthar
gul bichhā.ūñ maiñ tere qadmoñ meñ
merī rāhoñ meñ tū bichhā patthar
rāh-e-haq meñ yaqīn thā ham par
sirf barseñge iiñT yā patthar
lad gayā jab shajar phaloñ se koī
us pe sab ne uThā diyā patthar
log toḌeñge baar baar use
shīsha-e-dil ko tū banā patthar
narm rassī se ghis na jaa.e jo
mujh ko aisā nahīñ milā patthar
dostoñ ke hadaf pe hai 'āzam'
ab vo barsā.eñ phuul yā patthar
Top Urdushayar.com