Dagh Dehlvi

bhawen tanti hain KHanjar hath mein hai tan ke baiThe hain

Dagh Dehlvi

Delhi, India

1831-1905
bhaveñ tantī haiñ ḳhanjar haath meñ hai tan ke baiThe haiñ
kisī se aaj bigḌī hai ki vo yuuñ ban ke baiThe haiñ
diloñ par saikḌoñ sikke tire joban ke baiThe haiñ
kalejoñ par hazāroñ tiir is chitvan ke baiThe haiñ
ilāhī kyuuñ nahīñ uThtī qayāmat mājrā kyā hai
hamāre sāmne pahlū meñ vo dushman ke baiThe haiñ
ye gustāḳhī ye chheḌ achchhī nahīñ hai ai dil-e-nādāñ
abhī phir ruuTh jā.eñge abhī to man ke baiThe haiñ
asar hai jazb-e-ulfat meñ to khiñch kar aa hī jā.eñge
hameñ parvā nahīñ ham se agar vo tan ke baiThe haiñ
subuk ho jā.eñge gar jā.eñge vo bazm-e-dushman meñ
ki jab tak ghar meñ baiThe haiñ vo lākhoñ man ke baiThe haiñ
fusūñ hai yā duā hai yā muamma khul nahīñ saktā
vo kuchh paḌhte hue aage mire madfan ke baiThe haiñ
bahut royā huuñ maiñ jab se ye maiñ ne ḳhvāb dekhā hai
ki aap aañsū bahāte sāmne dushman ke baiThe haiñ
khaḌe hoñ zer-e-tūbā vo na dam lene ko dam bhar bhī
jo hasrat-mand tere sāya-e-dāman ke baiThe haiñ
talāsh-e-manzil-e-maqsad kī gardish uTh nahīñ saktī
kamar khole hue raste meñ ham rahzan ke baiThe haiñ
ye josh-e-girya to dekho ki jab furqat meñ royā huuñ
dar o dīvār ik pal meñ mire madfan ke baiThe haiñ
nigāh-e-shoḳh o chashm-e-shauq meñ dar-parda chhantī hai
ki vo chilman meñ haiñ nazdīk ham chilman ke baiThe haiñ
ye uThnā baiThnā mahfil meñ un kā rañg lā.egā
qayāmat ban ke uTTheñge bhabūkā ban ke baiThe haiñ
kisī kī shāmat aa.egī kisī kī jaan jā.egī
kisī kī taak meñ vo baam par ban-Than ke baiThe haiñ
qasam de kar unheñ ye pūchh lo tum rañg-Dhañg us ke
tumhārī bazm meñ kuchh dost bhī dushman ke baiThe haiñ
koī chhīñTā paḌe to 'dāġh' kalkatte chale jaa.eñ
azīmābād meñ ham muntazir sāvan ke baiThe haiñ
Top Urdushayar.com