dil ko kyā ho gayā ḳhudā jaane
kyuuñ hai aisā udaas kyā jaane
apne ġham meñ bhī us ko sarfa hai
na khilā jaane vo na khā jaane
is tajāhul kā kyā Thikānā hai
jaan kar jo na mudda.ā jaane
kah diyā maiñ ne rāz-e-dil apnā
us ko tum jaano yā ḳhudā jaane
kyā ġharaz kyuuñ idhar tavajjoh ho
hāl-e-dil aap kī balā jaane
jānte jānte hī jānegā
mujh meñ kyā hai abhī vo kyā jaane
kyā ham us bad-gumāñ se baat kareñ
jo satā.ish ko bhī gila jaane
tum na pāoge sāda-dil mujh sā
jo taġhāful ko bhī hayā jaane
hai abas jurm-e-ishq par ilzām
jab ḳhatā-vār bhī ḳhatā jaane
nahīñ kotāh dāman-e-ummīd
aage ab dast-e-nā-rasā jaane
jo ho achchhā hazār achchhoñ kā
vaa.iz us but ko tū burā jaane
kī mirī qadr misl-e-shāh-e-dakan
kisī navvāb ne na raajā ne
us se uTThegī kyā musībat-e-ishq
ibtidā ko jo intihā jaane
'dāġh' se kah do ab na ghabrāo
kaam apnā batā huā jaane