Dagh Dehlvi

ajab apna haal hota jo visal-e-yar hota

Dagh Dehlvi

Delhi, India

1831-1905
ajab apnā haal hotā jo visāl-e-yār hotā
kabhī jaan sadqe hotī kabhī dil nisār hotā
koī fitna tā-qayāmat na phir āshkār hotā
tire dil pe kaash zālim mujhe iḳhtiyār hotā
jo tumhārī tarah tum se koī jhūTe va.ade kartā
tumhīñ munsifī se kah do tumheñ e'tibār hotā
ġham-e-ishq meñ mazā thā jo use samajh ke khāte
ye vo zahr hai ki āḳhir mai-e-ḳhush-gavār hotā
ye maza thā dil-lagī kā ki barābar aag lagtī
na tujhe qarār hotā na mujhe qarār hotā
na mazā hai dushmanī meñ na hai lutf dostī meñ
koī ġhair ġhair hotā koī yaar yaar hotā
tire va.ade par sitamgar abhī aur sabr karte
agar apnī zindagī kā hameñ e'tibār hotā
ye vo dard-e-dil nahīñ hai ki ho chārasāz koī
agar ek baar miTtā to hazār baar hotā
ga.e hosh tere zāhid jo vo chashm-e-mast dekhī
mujhe kyā ulaT na dete jo na bāda-ḳhvār hotā
mujhe mānte sab aisā ki adū bhī sajde karte
dar-e-yār ka.aba bantā jo mirā mazār hotā
tumheñ naaz ho na kyūñkar ki liyā hai 'dāġh' kā dil
ye raqam na haath lagtī na ye iftiḳhār hotā
Top Urdushayar.com