Dagh Dehlvi

us se kya KHak ham-nashin banti

Dagh Dehlvi

Delhi, India

1831-1905
us se kyā ḳhaak ham-nashīñ bantī
baat bigḌī huī nahīñ bantī
vo banī ibtidā-e-ulfat meñ
dam pe jo vaqt-e-vāpsīñ bantī
aadmī sab farishte ban jaate
āsmāñ par agar zamīñ bantī
merī sūrat banī to ḳhaak banī
qismat ai sūrat-āfrīñ bantī
vaade karte hī kyā vo aa jaate
raat bhar zulf-e-ambarīñ bantī
kaash suntā na koī shor o fuġhāñ
dil kī jā chashm-e-surmagīñ bantī
tū ne aise bigāḌ Daale haiñ
ek kī ek se nahīñ bantī
na chamaktī jo husn kī taqdīr
kyuuñ tirī chāñd sī jabīñ bantī
pāra-e-jeb se mire ai kaash
dast-e-vahshat kī āstīñ bantī
bazm-e-duniyā thī qābil-e-jannat
ḳhuub bantī agar yahīñ bantī
tab-e-nāzuk kā lutf jab thā 'dāġh'
nāznīnoñ meñ nāznīñ bantī
Top Urdushayar.com