milāte ho usī ko ḳhaak meñ jo dil se miltā hai
mirī jaañ chāhne vaalā baḌī mushkil se miltā hai
kahīñ hai iid kī shādī kahīñ mātam hai maqtal meñ
koī qātil se miltā hai koī bismil se miltā hai
pas-e-parda bhī lailā haath rakh letī hai āñkhoñ par
ġhubār-e-nā-tavān-e-qais jab mahmil se miltā hai
bhare haiñ tujh meñ vo lākhoñ hunar ai majma-e-ḳhūbī
mulāqātī tirā goyā bharī mahfil se miltā hai
mujhe aatā hai kyā kyā rashk vaqt-e-zab.h us se bhī
galā jis dam lipaT kar ḳhanjar-e-qātil se miltā hai
ba-zāhir bā-adab yuuñ hazrat-e-nāseh se miltā huuñ
murīd-e-ḳhās jaise murshid-e-kāmil se miltā hai
misāl-e-ganj-e-qārūñ ahl-e-hājat se nahīñ chhuptā
jo hotā hai saḳhī ḳhud DhūñD kar saa.il se miltā hai
javāb is baat kā us shoḳh ko kyā de sake koī
jo dil le kar kahe kam-baḳht tū kis dil se miltā hai
chhupā.e se koī chhuptī hai apne dil kī betābī
ki har tār-e-nafas apnā rag-e-bismil se miltā hai
adam kī jo haqīqat hai vo pūchho ahl-e-hastī se
musāfir ko to manzil kā patā manzil se miltā hai
ġhazab hai 'dāġh' ke dil se tumhārā dil nahīñ miltā
tumhārā chāñd sā chehra mah-e-kāmil se miltā hai