sab log jidhar vo haiñ udhar dekh rahe haiñ
ham dekhne vāloñ kī nazar dekh rahe haiñ
tevar tire ai rashk-e-qamar dekh rahe haiñ
ham shaam se āsār-e-sahar dekh rahe haiñ
merā dil-e-gum-gashta jo DhūñDā nahīñ miltā
vo apnā dahan apnī kamar dekh rahe haiñ
koī to nikal aa.egā sarbāz-e-mohabbat
dil dekh rahe haiñ vo jigar dekh rahe haiñ
hai majma-e-aġhyār ki hañgāma-e-mahshar
kyā sair mire dīda-e-tar dekh rahe haiñ
ab ai nigah-e-shauq na rah jaa.e tamannā
is vaqt udhar se vo idhar dekh rahe haiñ
har-chand ki har roz kī ranjish hai qayāmat
ham koī din us ko bhī magar dekh rahe haiñ
aamad hai kisī kī ki gayā koī idhar se
kyuuñ sab taraf-e-rāhguzar dekh rahe haiñ
takrār tajallī ne tire jalve meñ kyuuñ kī
hairat-zada sab ahl-e-nazar dekh rahe haiñ
nairañg hai ek ek tirā diid ke qābil
ham ai falak-e-shobada-gar dekh rahe haiñ
kab tak hai tumhārā suḳhan-e-talḳh gavārā
is zahr meñ kitnā hai asar dekh rahe haiñ
kuchh dekh rahe haiñ dil-e-bismil kā taḌapnā
kuchh ġhaur se qātil kā hunar dekh rahe haiñ
ab tak to jo qismat ne dikhāyā vahī dekhā
ā.inda ho kyā nafā o zarar dekh rahe haiñ
pahle to sunā karte the āshiq kī musībat
ab aañkh se vo aaTh pahar dekh rahe haiñ
kyuuñ kufr hai dīdār-e-sanam hazrat-e-vā.iz
allāh dikhātā hai bashar dekh rahe haiñ
ḳhat ġhair kā paḌhte the jo Tokā to vo bole
aḳhbār kā parcha hai ḳhabar dekh rahe haiñ
paḌh paḌh ke vo dam karte haiñ kuchh haath par apne
hañs hañs ke mire zaḳhm-e-jigar dekh rahe haiñ
maiñ 'dāġh' huuñ martā huuñ idhar dekhiye mujh ko
muñh pher ke ye aap kidhar dekh rahe haiñ