Dagh Dehlvi

wo zamana nazar nahin aata

Dagh Dehlvi

Delhi, India

1831-1905
vo zamāna nazar nahīñ aatā
kuchh Thikānā nazar nahīñ aatā
jaan jaatī dikhā.ī detī hai
un kā aanā nazar nahīñ aatā
ishq dar-parda phūñktā hai aag
ye jalānā nazar nahīñ aatā
ik zamāna mirī nazar meñ rahā
ik zamāna nazar nahīñ aatā
dil ne is bazm meñ biThā to diyā
uTh ke jaanā nazar nahīñ aatā
rahiye mushtāq-e-jalva-e-dīdār
ham ne maanā nazar nahīñ aatā
le chalo mujh ko rāh-ravān-e-adam
yaañ Thikānā nazar nahīñ aatā
dil pe baiThā kahāñ se tīr-e-nigāh
ye nishāna nazar nahīñ aatā
tum milāoge ḳhaak meñ ham ko
dil milānā nazar nahīñ aatā
aap hī dekhte haiñ ham ko to
dil kā aanā nazar nahīñ aatā
dil-e-pur-ārzū luTā ai 'dāġh'
vo ḳhazāna nazar nahīñ aatā
Top Urdushayar.com