Dagh Dehlvi

hosh aate hi hasinon ko qayamat aai

Dagh Dehlvi

Delhi, India

1831-1905
hosh aate hī hasīnoñ ko qayāmat aa.ī
aañkh meñ fitnagarī dil meñ sharārat aa.ī
kyā tasavvur hai nihāyat mujhe hairat aa.ī
aa.ine meñ bhī nazar terī hī sūrat aa.ī
is adā se dam-e-raftār qayāmat aa.ī
aise ham kyuuñ na hue un ko ye hasrat aa.ī
roz-e-mahshar jo mirī daad kī naubat aa.ī
ye ga.ī vo ga.ī kab haath qayāmat aa.ī
ab isī par to hai tākīd vafādārī kī
jab gayā jaan se maiñ ġhair kī shāmat aa.ī
kah ga.e taan se vo aa ke mire marqad par
sone vaale tujhe kis tarah se rāhat aa.ī
ban sañvar kar jo vo aa.e to ye maiñ jaan gayā
ab ga.ī jaan ga.ī aa.ī tabī.at aa.ī
rakh diyā muñh pe mire haath shab-e-vasl us ne
be-hijābī ke liye kaam shikāyat aa.ī
jab ye khātā hai mirā ḳhūn-e-jigar khātā hai
dil-e-bīmār ko kis chiiz pe raġhbat aa.ī
garche az-had huuñ gunahgār musalmān to huuñ
pīchhe pīchhe mire dozaḳh meñ bhī jannat aa.ī
maiñ huā shefta un par vo adū par shaidā
saath ke saath hī donoñ kī tabī.at aa.ī
umr bhar us ko kaleje se lagā.e rakhā
tere bīmār ko jis dard meñ lazzat aa.ī
hijr meñ jaan nikaltī nahīñ kyā aafat hai
maar kar aaj ajal ko shab-e-furqat aa.ī
apne dīvānoñ ko dekhā to kahā ghabrā kar
ye na.ī vaz.a kī kis mulk se ḳhilqat aa.ī
jazb-e-dil khīñch hī laayā unheñ mere dar tak
paañv paḌtī huī har-chand nazākat aa.ī
yuuñ to pāmāl hue saikḌoñ miTne vaale
pahle gintī meñ jo aa.ī mirī turbat aa.ī
hashr kā va.ada bhī karte nahīñ vo kahte haiñ
farz kar lo jo ka.ī baar qayāmat aa.ī
'dāġh' ghabrāo nahīñ ab koī dam ke dam meñ
lo mubārak ho taraqqī kī bhī saa.at aa.ī
Top Urdushayar.com