falak detā hai jin ko aish un ko ġham bhī hote haiñ
jahāñ bajte haiñ naqqāre vahīñ mātam bhī hote haiñ
gile shikve kahāñ tak hoñge aadhī raat to guzrī
pareshāñ tum bhī hote ho pareshāñ ham bhī hote haiñ
jo rakkhe chārāgar kāfūr duunī aag lag jaa.e
kahīñ ye zaḳhm-e-dil sharminda-e-marham bhī hote haiñ
vo āñkheñ sāmrī-fan haiñ vo lab īsā-nafas dekho
mujhī par sehr hote haiñ mujhī par dam bhī hote haiñ
zamāna dostī par in hasīnoñ kī na itrā.e
ye ālam-dost aksar dushman-e-ālam bhī hote haiñ
ba-zāhir rahnumā haiñ aur dil meñ bad-gumānī hai
tire kūche meñ jo jaatā hai aage ham bhī hote haiñ
hamāre āñsuoñ kī ābdārī aur hī kuchh hai
ki yuuñ hone ko raushan gauhar-e-shabnam bhī hote haiñ
ḳhudā ke ghar meñ kyā hai kaam zāhid bāda-ḳhvāroñ kā
jinheñ miltī nahīñ vo tishna-e-zamzam bhī hote haiñ
hamāre saath hī paidā huā hai ishq ai nāseh
judā.ī kis tarah se ho judā tavām bhī hote haiñ
nahīñ ghaTtī shab-e-furqat bhī aksar ham ne dekhā hai
jo baḌh jaate haiñ had se vo hī ghaT kar kam bhī hote haiñ
bachā.ūñ pairahan kyā chārāgar maiñ dast-e-vahshat se
kahīñ aise garebāñ dāman-e-maryam bhī hote haiñ
tabī.at kī kajī hargiz miTā.e se nahīñ miTtī
kabhī sīdhe tumhāre gesu-e-pur-ḳham bhī hote haiñ
jo kahtā huuñ ki martā huuñ to farmāte haiñ mar jaao
jo ġhash aatā hai to mujh par hazāroñ dam bhī hote haiñ
kisī kā vāda-e-dīdār to ai 'dāġh' bar-haq hai
magar ye dekhiye dil-shād us din ham bhī hote haiñ