Dr. Azam

buland fikr ki har sher se ayan ho ramaq

Dr. Azam

Ballia, Uttar pradesh, India

1963
buland fikr kī har sher se ayaañ ho ramaq
mire qalam se adā ho kabhī ġhazal kā haq
udaas udaas haiñ insāñ har ek chehra faq
ye shahr shahr hai yā dasht hai ye laq-o-daq
maiñ dil kī baat kahūñ yuuñ ki dil talak pahuñche
na hoñ kinā.e hī mub.ham na isti.āre adaq
chalo sameT ke office ko apne ghar kī taraf
ufuq ke paar vo dekho utar rahī hai shafaq
zarā sā ilm-o-hunar pā ga.e to kuchh kam-zarf
samajh rahe haiñ sabhī ko hī ahqar-o-ahmaq
phir ehtijāj ke raste pe kyuuñ chaleñge ham
hameñ jo miltā rahe aap se hamārā haq
ta.alluqāt meñ qaa.em rakheñ bharose ko
ki shak hamesha hī kartā rahā hai rishte shaq
kisī kitāb meñ miltā nahīñ hai zikr 'āzam'
hameñ sikhā.e haiñ is zindagī ne aise sabaq
Top Urdushayar.com