Dagh Dehlvi

gham se kahin najat mile chain paen hum

Dagh Dehlvi

Delhi, India

1831-1905
ġham se kahīñ najāt mile chain paa.eñ ham
dil ḳhuun meñ nahā.e to gañgā nahā.eñ ham
jannat meñ jaa.eñ ham ki jahannam meñ jaa.eñ ham
mil jaa.e to kahīñ na kahīñ tujh ko paa.eñ ham
jauf-e-falak meñ ḳhaak bhī lazzat nahīñ rahī
jī chāhtā hai terī jafā.eñ uThā.eñ ham
Dar hai na bhuul jaa.e vo saffāk roz-e-hashr
duniyā meñ likhte jaate haiñ apnī ḳhatā.eñ ham
mumkin hai ye ki va.ade par apne vo aa bhī jaa.e
mushkil ye hai ki aap meñ us vaqt aa.eñ ham
nārāz ho ḳhudā to kareñ bandagī se ḳhush
māshūq ruuTh jaa.e to kyūñkar manā.eñ ham
sar dostoñ kā kaaT ke rakhte haiñ sāmne
ġhairoñ se pūchhte haiñ qasam kis kī khā.eñ ham
kitnā tirā mizāj ḳhushāmad-pasand hai
kab tak kareñ ḳhudā ke liye iltijā.eñ ham
lālach abas hai dil kā tumheñ vaqt-e-vāpsīñ
ye maal vo nahīñ ki jise chhoḌ jaa.eñ ham
sauñpā tumheñ ḳhudā ko chale ham to nā-murād
kuchh paḌh ke baḳhshnā jo kabhī yaad aa.eñ ham
soz-e-darūñ se apne sharar ban ga.e haiñ ashk
kyuuñ āh-e-sard ko na patiñge lagā.eñ ham
ye jaan tum na loge agar aap jā.egī
us bevafā kī ḳhair kahāñ tak manā.eñ ham
ham-sā.e jāgte rahe nāloñ se raat bhar
so.e hue nasīb ko kyūñkar jagā.eñ ham
jalva dikhā rahā hai vo ā.īna-e-jamāl
aatī hai ham ko sharm ki kyā muñh dikhā.eñ ham
maano kahā jafā na karo tum vafā ke ba.ad
aisā na ho ki pher leñ ulTī duā.eñ ham
dushman se milte julte haiñ ḳhātir se dostī
kyā fā.eda jo dost ko dushman banā.eñ ham
tū bhūlne kī chiiz nahīñ ḳhuub yaad rakh
ai 'dāġh' kis tarah tujhe dil se bhulā.eñ ham
Top Urdushayar.com