Dagh Dehlvi

mujhe ai ahl-e-kaba yaad kya mai-KHana aata hai

Dagh Dehlvi

Delhi, India

1831-1905
mujhe ai ahl-e-ka.aba yaad kyā mai-ḳhāna aatā hai
udhar dīvāna jaatā hai idhar mastāna aatā hai
mirī mizhgāñ se aañsū pochhtā hai kis liye nāseh
Tapak paḌtā hai ḳhud jo is shajar meñ daana aatā hai
ye aamad hai ki aafat hai nigah kuchh hai adā kuchh hai
ilāhī ḳhair mujh se āshnā begāna aatā hai
dam-e-taqrīr naale halq meñ chhuriyāñ chubhote haiñ
zabāñ tak TukḌe ho ho kar mirā afsāna aatā hai
ruḳh-e-raushan ke aage sham.a rakh kar vo ye kahte haiñ
udhar jaatā hai dekheñ yā idhar parvāna aatā hai
jigar tak aate aate sau jagah girtā huā aayā
tirā tīr-e-nazar aatā hai yā mastāna aatā hai
vahī jhagḌā hai furqat kā vahī qissa hai ulfat kā
tujhe ai 'dāġh' koī aur bhī afsāna aatā hai
Top Urdushayar.com