Dagh Dehlvi

mujh sa na de zamane ko parwardigar dil

Dagh Dehlvi

Delhi, India

1831-1905
mujh sā na de zamāne ko parvardigār dil
āshufta dil farefta dil be-qarār dil
har baar māñgtī haiñ nayā chashm-e-yār dil
ik dil ke kis tarah se banā.ūñ hazār dil
mash.hūr ho ga.ī hai ziyārat shahīd kī
ḳhūñ-kushta aarzū kā banā hai mazār dil
ye said-gāh-e-ishq hai Thahrā.iye nigāh
sayyād-e-muztarib se na hogā shikār dil
tūfān-e-nūh bhī ho to mil jaa.e ḳhaak meñ
allāh re ġhubār tirā pur ġhubār dil
pūchhā jo us ne tālib-e-roz-e-jazā hai kaun
niklā mirī zabān se be-iḳhtiyār dil
karte ho ahd-e-vasl to itnā rahe ḳhayāl
paimān se ziyāda hai nā-pā.edār dil
tāsīr-e-ishq ye hai tire ahd-e-husn meñ
miTTī kā bhī banā.eñ to ho be-qarār dil
us kī talāsh hai ki nazar aa.e aarzū
zālim ne roz chaak kiye haiñ hazār dil
aalam huā tamām rahā us ko shauq-e-hūr
barsā.e āsmān se parvardigār dil
pahle-pahal kī chaah kā kiije na imtihāñ
aanā to siikh le abhī do-chār baar dil
nikle mirī baġhal se vo aise taḌap ke saath
yaad aa gayā mujhe vahīñ be-iḳhtiyār dil
ai andalīb tujh ko lage kab havā-e-ishq
kaliyoñ kī tarah tujh meñ na phūTe hazār dil
āshiq hue vo jaise adū par ye haal hai
rakh kah ke haath dekhte haiñ baar baar dil
us ne kahā hai sabr paḌegā raqīb kā
le aur be-qarār huā be-qarār dil
betāb ho ke bazm se us kī uThā diyā
ġhāfil maiñ huuñ magar hai bahut hoshyār dil
mash.hūr haiñ sikandar o jam kī nishāniyāñ
ai 'dāġh' chhoḌ jā.eñge ham yādgār dil
Top Urdushayar.com