Dagh Dehlvi

saf kab imtihan lete hain

Dagh Dehlvi

Delhi, India

1831-1905
saaf kab imtihān lete haiñ
vo to dam de ke jaan lete haiñ
yuuñ hai manzūr ḳhāna-vīrānī
mol merā makān lete haiñ
tum taġhāful karo raqīboñ se
jānñe vaale jaan lete haiñ
phir na aanā agar koī bheje
nāma-bar se zabān lete haiñ
ab bhī gir paḌ ke zof se naale
sātvāñ āsmān lete haiñ
tere ḳhanjar se bhī to ai qātil
nok kī nau-javān lete haiñ
apne bismil kā sar hai zaanū par
kis mohabbat se jaan lete haiñ
ye sunā hai mire liye talvār
ik mire mehrbān lete haiñ
ye na kah ham se tere muñh meñ ḳhaak
is meñ terī zabān lete haiñ
kaun jaatā hai us galī meñ jise
duur se pāsbān lete haiñ
manzil-e-shauq tai nahīñ hotī
Thekiyāñ nā-tavān lete haiñ
kar guzarte haiñ ho burī ki bhalī
dil meñ jo kuchh vo Thaan lete haiñ
vo jhagaḌte haiñ jab raqīboñ se
biich meñ mujh ko saan lete haiñ
zid har ik baat par nahīñ achchhī
dost kī dost maan lete haiñ
musta.id ho ke ye kaho to sahī
aa.iye imtihān lete haiñ
'dāġh' bhī hai ajiib sehr-bayāñ
baat jis kī vo maan lete haiñ
Top Urdushayar.com