sabaq aisā paḌhā diyā tū ne
dil se sab kuchh bhalā diyā tū ne
ham nikamme hue zamāne ke
kaam aisā sikhā diyā tū ne
kuchh ta.alluq rahā na duniyā se
shaġhl aisā batā diyā tū ne
kis ḳhushī kī ḳhabar sunā ke mujhe
ġham kā putlā banā diyā tū ne
kyā batā.ūñ ki kyā liyā maiñ ne
kyā kahūñ maiñ kī kyā diyā tū ne
be-talab jo milā milā mujh ko
be-ġharaz jo diyā diyā tū ne
umr-e-jāved ḳhizr ko baḳhshī
āb-e-haivāñ pilā diyā tū ne
nār-e-namrūd ko kiyā gulzār
dost ko yuuñ bachā diyā tū ne
dast-e-mūsā meñ faiz baḳhshish hai
nūr-o-lauh-o-asā diyā tū ne
sub.h mauj nasīm gulshan ko
nafas-e-jāñ-fazā diyā tū ne
shab-e-tīra meñ sham.a raushan ko
nuur ḳhurshīd kā diyā tū ne
naġhma bulbul ko rañg-o-bū gul ko
dil-kash-o-ḳhushnumā diyā tū ne
kahīñ mushtāq se hijāb huā
kahīñ parda uThā diyā tū ne
thā mirā muñh na qābil-e-labbaik
ka.aba mujh ko dikhā diyā tū ne
jis qadar maiñ ne tujh se ḳhvāhish kī
is se mujh ko sivā diyā tū ne
rahbar-e-ḳhizr-o-hādī-e-ilyās
mujh ko vo rahnumā diyā tū ne
miT ga.e dil se naqsh-e-bātil sab
naqsha apnā jamā diyā tū ne
hai yahī raah manzil-e-maqsūd
ḳhuub raste lagā diyā tū ne
mujh gunahgār ko jo baḳhsh diyā
to jahannum ko kyā diyā tū ne
'dāġh' ko kaun dene vaalā thā
jo diyā ai ḳhudā diyā tū ne