Dagh Dehlvi

kahte hain jis ko hur wo insan tumhin to ho

Dagh Dehlvi

Delhi, India

1831-1905
kahte haiñ jis ko huur vo insāñ tumhīñ to ho
jaatī hai jis pe jaan mirī jaañ tumhīñ to ho
matlab kī kah rahe haiñ vo daanā hamīñ to haiñ
matlab kī pūchhte ho vo nādāñ tumhīñ to ho
aatā hai bād-e-zulm tumhīñ ko to rahm bhī
apne kiye se dil meñ pashemāñ tumhīñ to ho
pachhtāoge bahut mire dil ko ujaaḌ kar
is ghar meñ aur kaun hai mehmāñ tumhīñ to ho
ik roz rañg lā.eñgī ye mehrbāniyāñ
ham jānte the jaan ke ḳhvāhāñ tumhīñ to ho
dildār o dil-fareb dil-āzār o dil-sitāñ
lākhoñ meñ ham kaheñge ki haañ haañ tumhīñ to ho
karte ho 'dāġh' duur se but-ḳhāne ko salām
apnī tarah ke ek musalmāñ tumhīñ to ho
Top Urdushayar.com