Dagh Dehlvi

dil-e-nakaam ke hain kaam KHarab

Dagh Dehlvi

Delhi, India

1831-1905
dil-e-nākām ke haiñ kaam ḳharāb
kar liyā āshiqī meñ naam ḳharāb
is ḳharābāt kā yahī hai maza
ki rahe aadmī mudām ḳharāb
dekh kar jins-e-dil vo kahte haiñ
kyuuñ kare koī apne daam ḳharāb
abr-e-tar se sabā hī achchhī thī
merī miTTī huī tamām ḳharāb
vo bhī saaqī mujhe nahīñ detā
vo jo TuuTā paḌā hai jaam ḳharāb
kyā milā ham ko zindagī ke sivā
vo bhī dushvār nā-tamām ḳharāb
vaah kyā muñh se phuul jhaḌte haiñ
ḳhūb-rū ho ke ye kalām ḳharāb
chaal kī rahnumā-e-ishq ne bhī
vo dikhāyā jo thā maqām ḳharāb
'dāġh' hai bad-chalan to hone do
sau meñ hotā hai ik ġhulām ḳharāb
Top Urdushayar.com