jo anā kī sifat hai zaatī hai
ye na aatī hai ye na jaatī hai
jab koī fikr chhaTpaTātī hai
tab kahāñ nīñd-vīñd aatī hai
aaj dānista bint-e-havvā ḳhud
ishtihāroñ ke kaam aatī hai
yuuñ dabe paañv aatī terī yaad
jis tarah sub.h dhuup aatī hai
maiñ fidā.īn ho gayā shāyad
har qadam merā ātm-ghātī hai
ab mohabbat hai maslahat-āmez
ab kahāñ jū-e-shīr laatī hai
log ab faisla batāte haiñ
aur adālat bhī maan jaatī hai
zindagī kī numūd bhī 'āzam'
sānihātī hai hādsātī hai