Dagh Dehlvi

is nahin ka koi ilaj nahin

Dagh Dehlvi

Delhi, India

1831-1905
is nahīñ kā koī ilaaj nahīñ
roz kahte haiñ aap aaj nahīñ
kal jo thā aaj vo mizāj nahīñ
is talavvun kā kuchh ilaaj nahīñ
aa.ina dekhte hī itrā.e
phir ye kyā hai agar mizāj nahīñ
le ke dil rakh lo kaam aa.egā
go abhī tum ko ehtiyāj nahīñ
ho sakeñ ham mizāj-dāñ kyūñkar
ham ko miltā tirā mizāj nahīñ
chup lagī lāl-e-jāñ-fazā ko tire
is masīhā kā kuchh ilaaj nahīñ
dil-e-be-mudda.ā ḳhudā ne diyā
ab kisī shai kī ehtiyāj nahīñ
khoTe dāmoñ meñ ye bhī kyā Thahrā
dirham-e-dāġh kā rivāj nahīñ
be-niyāzī kī shaan kahtī hai
bandagī kī kuchh ehtiyāj nahīñ
dil-lagī kījiye raqīboñ se
is tarah kā mirā mizāj nahīñ
ishq hai pādshāh-e-ālam-gīr
garche zāhir meñ taḳht-o-tāj nahīñ
dard-e-furqat kī go davā hai visāl
is ke qābil bhī har mizāj nahīñ
yaas ne kyā bujhā diyā dil ko
ki taḌap kaisī iḳhtilāj nahīñ
ham to sīrat-pasand āshiq haiñ
ḳhūb-rū kyā jo ḳhush-mizāj nahīñ
huur se pūchhtā huuñ jannat meñ
is jagah kyā butoñ kā raaj nahīñ
sabr bhī dil ko 'dāġh' de leñge
abhī kuchh is kī ehtiyāj nahīñ
Top Urdushayar.com