ġhair ko muñh lagā ke dekh liyā
jhuuT sach aazmā ke dekh liyā
un ke ghar 'dāġh' jā ke dekh liyā
dil ke kahne meñ aa ke dekh liyā
kitnī farhat-fazā thī bū-e-vafā
us ne dil ko jalā ke dekh liyā
kabhī ġhash meñ rahā shab-e-va.ada
kabhī gardan uThā ke dekh liyā
jins-e-dil hai ye vo nahīñ saudā
har jagah se mañgā ke dekh liyā
log kahte haiñ chup lagī hai tujhe
hāl-e-dil bhī sunā ke dekh liyā
jaao bhī kyā karoge mehr-o-vafā
bār-hā aazmā ke dekh liyā
zaḳhm-e-dil meñ nahīñ hai qatra-e-ḳhūñ
ḳhuub ham ne dikhā ke dekh liyā
idhar ā.īna hai udhar dil hai
jis ko chāhā uThā ke dekh liyā
un ko ḳhalvat-sarā meñ be-parda
saaf maidān pā ke dekh liyā
us ne sub.h-e-shab-e-visāl mujhe
jaate jaate bhī aa ke dekh liyā
tum ko hai vasl-e-ġhair se inkār
aur jo ham ne aa ke dekh liyā
'dāġh' ne ḳhuub āshiqī kā mazā
jal ke dekhā jalā ke dekh liyā