Dagh Dehlvi

tumhaare KHat mein naya ek salam kis ka tha

Dagh Dehlvi

Delhi, India

1831-1905
tumhāre ḳhat meñ nayā ik salām kis kā thā
na thā raqīb to āḳhir vo naam kis kā thā
vo qatl kar ke mujhe har kisī se pūchhte haiñ
ye kaam kis ne kiyā hai ye kaam kis kā thā
vafā kareñge nibāheñge baat māneñge
tumheñ bhī yaad hai kuchh ye kalām kis kā thā
rahā na dil meñ vo bedard aur dard rahā
muqīm kaun huā hai maqām kis kā thā
na pūchh-gachh thī kisī kī vahāñ na āv-bhagat
tumhārī bazm meñ kal ehtimām kis kā thā
tamām bazm jise sun ke rah ga.ī mushtāq
kaho vo tazkira-e-nā-tamām kis kā thā
hamāre ḳhat ke to purze kiye paḌhā bhī nahīñ
sunā jo tū ne ba-dil vo payām kis kā thā
uThā.ī kyuuñ na qayāmat adū ke kūche meñ
lihāz aap ko vaqt-e-ḳhirām kis kā thā
guzar gayā vo zamāna kahūñ to kis se kahūñ
ḳhayāl dil ko mire sub.h o shaam kis kā thā
hameñ to hazrat-e-vā.iz kī zid ne pilvā.ī
yahāñ irāda-e-sharb-e-mudām kis kā thā
agarche dekhne vaale tire hazāroñ the
tabāh-hāl bahut zer-e-bām kis kā thā
vo kaun thā ki tumheñ jis ne bevafā jaanā
ḳhayāl-e-ḳhām ye saudā-e-ḳhām kis kā thā
inhīñ sifāt se hotā hai aadmī mash.hūr
jo lutf aam vo karte ye naam kis kā thā
har ik se kahte haiñ kyā 'dāġh' bevafā niklā
ye pūchhe un se koī vo ġhulām kis kā thā
Top Urdushayar.com