Dagh Dehlvi

butan-e-mah-wish ujDi hui manzil mein rahte hain

Dagh Dehlvi

Delhi, India

1831-1905
butān-e-mah-vish ujḌī huī manzil meñ rahte haiñ
ki jis kī jaan jaatī hai usī ke dil meñ rahte haiñ
hazāroñ daaġh pinhāñ āshiqoñ ke dil meñ rahte haiñ
sharar patthar kī sūrat un kī āb-o-gil meñ rahte haiñ
zamīñ par paañv nafrat se nahīñ rakhte parī-paikar
ye goyā is makāñ kī dūsrī manzil meñ rahte haiñ
mohabbat meñ mazā hai chheḌ kā lekin maze kī ho
hazāroñ lutf har ik shikva-e-bātil meñ rahte haiñ
ḳhudā rakkhe salāmat jin ko un ko maut kab aa.e
taḌapte loTte ham kūcha-e-qātil meñ rahte haiñ
hazāroñ hasrateñ vo haiñ ki roke se nahīñ ruktīñ
bahut armān aise haiñ ki dil ke dil meñ rahte haiñ
yahāñ tak thak ga.e haiñ chalte chalte tere hāthoñ se
ki ab chhup chhup ke nāvak sīna-e-bismil meñ rahte haiñ
na dekhe hoñge rindoñ se bhī tū ne paak ai zāhid
ki ye be-dāġh mai-ḳhāne kī āb-o-gil meñ rahte haiñ
muhīt-e-ishq kī har mauj tūfāñ-ḳhez aisī hai
vo haiñ girdāb meñ jo dāman-e-sāhil meñ rahte haiñ
ḳhudā rakkhe mohabbat ne kiye ābād donoñ ghar
maiñ un ke dil meñ rahtā huuñ vo mere dil meñ rahte haiñ
jo hotī ḳhūb-sūrat to na chhuptī qais se lailā
magar aise hī vaise parda-e-mahmil meñ rahte haiñ
hamāre saa.e se bachtā hai har ik bazm meñ us kī
hameñ dekho ki ham tanhā bharī mahfil meñ rahte haiñ
surāġh-e-mehr-o-ulfat ġhair ke dil meñ na pā.eñge
abas vo raat din is sa.ī-e-be-hāsil meñ rahte haiñ
butoñ ko mahram-e-asrār tū ne kyuuñ kiyā yā rab
ki ye kāfir har ik ḳhalvat-sarā-e-dil meñ rahte haiñ
falak dushman huā gardish-zadoñ ko jab milī rāhat
ziyāda raah se khaTke mujhe manzil meñ rahte haiñ
tan-āsānī kahāñ taqdīr meñ ham dil-giraftoñ kī
ḳhudā par ḳhuub raushan hai ki jis mushkil meñ rahte haiñ
Top Urdushayar.com