kaun sā tā.ir-e-gum-gashta use yaad aayā
dekhtā bhāltā har shāḳh ko sayyād aayā
mere qaabū meñ na pahroñ dil-e-nāshād aayā
vo mirā bhūlne vaalā jo mujhe yaad aayā
koī bhūlā huā andāz-e-sitam yaad aayā
ki tabassum tujhe zālim dam-e-be-dād aayā
laa.e haiñ log janāze kī tarah mahshar meñ
kis musībat se tirā kushta-e-bedād aayā
jazb-e-vahshat tire qurbān tirā kyā kahnā
khiñch ke rag rag meñ mire nashtar-e-fassād aayā
us ke jalve ko ġharaz kaun-o-makāñ se kyā thā
daad lene ke liye husn-e-ḳhudā-dād aayā
bastiyoñ se yahī āvāz chalī aatī hai
jo kiyā tū ne vo aage tire farhād aayā
dil-e-vīrāñ se raqīboñ ne murādeñ pā.īñ
kaam kis kis ke mirā ḳhirman-e-barbād aayā
ishq ke aate hī muñh par mire phūlī hai basant
ho gayā zard ye shāgird jab ustād aayā
ho gayā farz mujhe shauq kā daftar likhnā
jab mire haath koī ḳhāma-e-faulād aayā
iid hai qatl mirā ahl-e-tamāshā ke liye
sab gale milne lage jab ki vo jallād aayā
chain karte haiñ vahāñ ranj uThāne vaale
kaam uqbā meñ hamārā dil-e-nāshād aayā
dī shab-e-vasl mo.azzin ne azaañ pichhlī raat
haa.e kam-baḳht ko kis vaqt ḳhudā yaad aayā
mere naale ne sunā.ī hai kharī kis kis ko
muñh farishtoñ pe ye gustāḳh ye āzād aayā
ġham-e-jāved ne dī mujh ko mubārakbādī
jab sunā ye ki unheñ sheva-e-bedād aayā
maiñ tamannā-e-shahādat kā mazā bhuul gayā
aaj is shauq se armān se jallād aayā
shādiyāna jo diyā naala o shevan ne diyā
jab mulāqāt ko nāshād kī nāshād aayā
lījiye suniye ab afsāna-e-furqat mujh se
aap ne yaad dilāyā to mujhe yaad aayā
aap kī bazm meñ sab kuchh hai magar 'dāġh' nahīñ
ham ko vo ḳhāna-ḳharāb aaj bahut yaad aayā