baat merī kabhī sunī hī nahīñ
jānte vo burī bhalī hī nahīñ
dil-lagī un kī dil-lagī hī nahīñ
ranj bhī hai faqat hañsī hī nahīñ
lutf-e-mai tujh se kyā kahūñ zāhid
haa.e kam-baḳht tū ne pī hī nahīñ
uḌ ga.ī yuuñ vafā zamāne se
kabhī goyā kisī meñ thī hī nahīñ
jaan kyā duuñ ki jāntā huuñ maiñ
tum ne ye chiiz le ke dī hī nahīñ
ham to dushman ko dost kar lete
par kareñ kyā tirī ḳhushī hī nahīñ
ham tirī aarzū pe jiite haiñ
ye nahīñ hai to zindagī hī nahīñ
dil-lagī dil-lagī nahīñ nāseh
tere dil ko abhī lagī hī nahīñ
'dāġh' kyuuñ tum ko bevafā kahtā
vo shikāyat kā aadmī hī nahīñ