Dagh Dehlvi

jo ho sakta hai us se wo kisi se ho nahin sakta

Dagh Dehlvi

Delhi, India

1831-1905

jo ho saktā hai us se vo kisī se ho nahīñ saktā

magar dekho to phir kuchh aadmī se ho nahīñ saktā

mohabbat meñ kare kyā kuchh kisī se ho nahīñ saktā

mirā marnā bhī to merī ḳhushī se ho nahīñ saktā

alag karnā raqīboñ ilāhī tujh ko āsāñ hai

mujhe mushkil ki merī bekasī se ho nahīñ saktā

kiyā hai vāda-e-fardā unhoñ ne dekhiye kyā ho

yahāñ sabr o tahammul aaj se ho nahīñ saktā

ye mushtāq-e-shahādat kis jagah jaa.eñ kise DhūñDeñ

ki terā kaam qātil jab tujhī se ho nahīñ saktā

lagā kar teġh qissa paak kījiye dād-ḳhvāhoñ

kisī faisla kar munsifī se ho nahīñ saktā

mirā dushman ba-zāhir chaar din ko dost hai terā

kisī ho rahe ye har kisī se ho nahīñ saktā

pursish kahoge kyā vahāñ jab yaañ ye sūrat hai

adā ik harf-e-vāda nāzukī se ho nahīñ saktā

na kahiye go ki hāl-e-dil magar rañg-āshnā haiñ ham

ye zāhir aap kyā ḳhāmushī se ho nahīñ saktā

kiyā jo ham ne zālim kyā karegā ġhair muñh kyā hai

kare to sabr aisā aadmī se ho nahīñ saktā

chaman meñ naaz bulbul ne kiyā jo apnī naale par

chaTak kar ġhuncha bolā kyā kisī se ho nahīñ saktā

nahīñ gar tujh pe qaabū dil hai par kuchh zor ho apnā

karūñ kyā ye bhī to nā-tāqatī se ho nahīñ saktā

na ronā hai tarīqe na hañsnā hai salīqe

pareshānī meñ koī kaam se ho nahīñ saktā

huā huuñ is qadar mahjūb arz-e-mudda.ā kar ke

ki ab to uzr bhī sharmindagī se ho nahīñ saktā

ġhazab meñ jaan hai kyā kiije badla rañj-e-furqat

badī se kar nahīñ sakte ḳhushī se ho nahīñ saktā

mazā jo iztirāb-e-shauq se āshiq ko hai hāsil

vo taslīm o razā o bandagī se ho nahīñ saktā

ḳhudā jab dost hai ai 'dāġh' kyā dushman se andesha

hamārā kuchh kisī dushmanī se ho nahīñ saktā

Top Urdushayar.com