Dagh Dehlvi

idhar dekh lena udhar dekh lena

Dagh Dehlvi

Delhi, India

1831-1905
idhar dekh lenā udhar dekh lenā
kan-añkhiyoñ se us ko magar dekh lenā
faqat nabz se haal zāhir na hogā
mirā dil bhī ai chārāgar dekh lenā
kabhī zikr-e-dīdār aayā to bole
qayāmat se bhī pesh-tar dekh lenā
na denā ḳhat-e-shauq ghabrā ke pahle
mahal mauqa ai nāma-bar dekh lenā
kahīñ aise bigḌe sañvarte bhī dekhe
na ā.eñge vo raah par dekh lenā
taġhāful meñ shoḳhī nirālī adā thī
ġhazab thā vo muñh pher kar dekh lenā
shab-e-va.ada apnā yahī mashġhala thā
uThā kar nazar sū-e-dar dekh lenā
bulāyā jo ġhairoñ ko dāvat meñ tum ne
mujhe pesh-tar apne ghar dekh lenā
mohabbat ke bāzār meñ aur kyā hai
koī dil dikhā.e agar dekh lenā
mire sāmne ġhair se bhī ishāre
idhar bhī udhar dekh kar dekh lenā
na ho nāzuk itnā bhī mashshāta koī
dahan dekh lenā kamar dekh lenā
nahīñ rakhne dete jahāñ paañv ham ko
usī āstāne pe sar dekh lenā
tamāshā-e-ālam kī fursat hai kis ko
ġhanīmat hai bas ik nazar dekh lenā
diye jaate haiñ aaj kuchh likh ke tum ko
use vaqt-e-fursat magar dekh lenā
hamīñ jaan deñge hamīñ mar miTeñge
hameñ tum kisī vaqt par dekh lenā
jalāyā to hai 'dāġh' ke dil ko tum ne
magar is kā hogā asar dekh lenā
Top Urdushayar.com