Dagh Dehlvi

ab wo ye kah rahe hain meri man jaiye

Dagh Dehlvi

Delhi, India

1831-1905
ab vo ye kah rahe haiñ mirī maan jā.iye
allāh terī shaan ke qurbān jā.iye
bigḌe hue mizāj ko pahchān jā.iye
sīdhī tarah na māniyegā maan jā.iye
kis kā hai ḳhauf rokne vaalā hī kaun hai
har roz kyuuñ na jā.iye mehmān jā.iye
mahfil meñ kis ne aap ko dil meñ chhupā liyā
itnoñ meñ kaun chor hai pahchān jā.iye
haiñ tevrī meñ bal to nigāheñ phirī huī
jaate haiñ aise aane se ausān jā.iye
do mushkileñ haiñ ek jatāne meñ shauq ke
pahle to jaan jā.iye phir maan jā.iye
insān ko hai ḳhāna-e-hastī meñ lutf kyā
mehmān aa.iye to pashemān jā.iye
go vāda-e-visāl ho jhūTā maza to hai
kyuuñ kar na aise jhuuT ke qurbān jā.iye
rah jaa.e ba.ad-e-vasl bhī cheTak lagī huī
kuchh rakhiye kuchh nikāl ke armān jā.iye
achchhī kahī ki ġhair ke ghar tak zarā chalo
maiñ aap kā nahīñ huuñ nigahbān jā.iye
aa.e haiñ aap ġhair ke ghar se khaḌe khaḌe
ye aur ko jatā.iye ehsān, jā.iye
donoñ se imtihān-e-vafā par ye kah diyā
manvā.iye raqīb ko yā maan jā.iye
kyā bad-gumāniyāñ haiñ unheñ mujh ko hukm hai
ghar meñ ḳhudā ke bhī to na mehmān jā.iye
kyā farz hai ki sab mirī bāteñ qubūl haiñ
sun sun ke kuchh na māniye kuchh maan jā.iye
saudā.iyān-e-zulf meñ kuchh to laTak bhī ho
jannat meñ jā.iye to pareshān jā.iye
dil ko jo dekh lo to yahī pyaar se kaho
qurbān jā.iye tire qurbān jā.iye
dil ko jo dekh lo to yahī pyaar se kaho
qurbān jā.iye tire qurbān jā.iye
jaane na dūñgā aap ko be-faisla hue
dil ke muqaddame ko abhī chhān jā.iye
ye to bajā ki aap ko duniyā se kyā ġharaz
jaatī hai jis kī jaan use jaan jā.iye
ġhusse meñ haath se ye nishānī na gir paḌe
dāman meñ le ke merā garebān jā.iye
ye muḳhtasar javāb milā arz-e-vasl par
dil māntā nahīñ ki tirī maan jā.iye
vo āzmūda-kār to hai gar valī nahīñ
jo kuchh batā.e 'dāġh' use maan jā.iye
Top Urdushayar.com