Dagh Dehlvi

Darte hain chashm o zulf o nigah o ada se hum

Dagh Dehlvi

Delhi, India

1831-1905
Darte haiñ chashm o zulf o nigāh o adā se ham
har dam panāh māñgte haiñ har balā se ham
ma.ashūq jā-e-hūr mile mai bajā.e aab
mahshar meñ do savāl kareñge ḳhudā se ham
gar tū kisī bahāne aa jaa.e vaqt-e-naz.a
zālim kareñ hazār bahāne qazā se ham
go hāl-e-dil chhupāte haiñ par is ko kyā kareñ
aate haiñ ḳhud-ba-ḳhud nazar ik mubtalā se ham
nā-chār iḳhtiyār kiyā sheva-e-raqīb
kuchh be-hayā.ī ḳhuub haiñ guzre hayā se ham
māñgī na hogī ḳhizr ne yuuñ umr-e-jāvedāñ
kyā apnī maut māñgte haiñ iltijā se ham
dekheñ to pahle kaun miTe us kī raah meñ
baiThe haiñ shart bāñdh ke har naqsh-e-pā se ham
majbūr apnī sheva-e-sharm-o-hayā se tum
nā-chār iztirāb-e-dil-e-mubtalā se ham
ye aarzū hai aañkh meñ surma lagā.eñge
ai 'dāġh' ḳhāk-e-pā-e-rasūl-e-ḳhudā se ham
Top Urdushayar.com