Dagh Dehlvi

na-rawa kahiye na-saza kahiye

Dagh Dehlvi

Delhi, India

1831-1905
nā-ravā kahiye nā-sazā kahiye
kahiye kahiye mujhe burā kahiye
tujh ko bad-ahd o bevafā kahiye
aise jhūTe ko aur kyā kahiye
dard dil kā na kahiye yā kahiye
jab vo pūchhe mizāj kyā kahiye
phir na rukiye jo mudda.ā kahiye
ek ke ba.ad dūsrā kahiye
aap ab merā muñh na khulvā.eñ
ye na kahiye ki mudda.ā kahiye
vo mujhe qatl kar ke kahte haiñ
māntā hī na thā ye kyā kahiye
dil meñ rakhne kī baat hai ġham-e-ishq
is ko hargiz na barmalā kahiye
tujh ko achchhā kahā hai kis kis ne
kahne vāloñ ko aur kyā kahiye
vo bhī sun leñge ye kabhī na kabhī
hāl-e-dil sab se jā-ba-jā kahiye
mujh ko kahiye burā na ġhair ke saath
jo ho kahnā judā judā kahiye
intihā ishq kī ḳhudā jaane
dam-e-āḳhir ko ibtidā kahiye
mere matlab se kyā ġharaz matlab
aap apnā to mudda.ā kahiye
aisī kashtī kā Dūbnā achchhā
ki jo dushman ko nāḳhudā kahiye
sabr furqat meñ aa hī jaatā hai
par use der-āshnā kahiye
aa ga.ī aap ko masīhā.ī
marne vāloñ ko marhabā kahiye
aap kā ḳhair-ḳhvāh mere sivā
hai koī aur dūsrā kahiye
haath rakh kar vo apne kānoñ par
mujh se kahte haiñ mājrā kahiye
hosh jaate rahe raqīboñ ke
'dāġh' ko aur bā-vafā kahiye
Top Urdushayar.com