shab-e-vasl zid meñ basar ho ga.ī
nahīñ hote hote sahar ho ga.ī
nigah ġhair par be-asar ho ga.ī
tumhārī nazar ko nazar ho ga.ī
kasak dil meñ phir chārāgar ho ga.ī
jo taskīñ pahar dopahar ho ga.ī
lagāte haiñ dil us se ab haar jiit
idhar ho ga.ī yā udhar ho ga.ī
javāb un kī jānib se dene lagā
ye jur.at tujhe nāma-bar ho ga.ī
bure haal se yā bhale haal se
tumheñ kyā hamārī basar ho ga.ī
mayassar hameñ ḳhvāb-e-rāhat kahāñ
zarā aañkh jhapkī sahar ho ga.ī
jafā par vafā to karūñ soch lo
tumheñ mujh se ulfat agar ho ga.ī
nigāh-e-sitam meñ kuchh ījād ho
ki ye to purānī nazar ho ga.ī
tasallī mujhe de ke jaate to ho
mabādā jo jū-e-digar ho ga.ī
kahīñ husn se bhī hai kāhīdgī
na hone ke qābil kamar ho ga.ī
shab-e-vasl aisī khilī chāñdnī
vo ghabrā ke bole sahar ho ga.ī
kahī zindagī bhar kī shab vārdāt
mirī ruuh paiġhām-bar ho ga.ī
kaho kyā karoge mire vasl kī
jo mash.hūr jhūTī ḳhabar ho ga.ī
ġham-e-hijr se 'dāġh' mujh ko najāt
yaqīñ thā na hogī magar ho ga.ī