Dagh Dehlvi

dil chura kar nazar churai hai

Dagh Dehlvi

Delhi, India

1831-1905
dil churā kar nazar churā.ī hai
luT ga.e luT ga.e duhā.ī hai
ek din mil ke phir nahīñ milte
kis qayāmat kī ye judā.ī hai
ai asar kar na intizār-e-duā
māñgnā saḳht be-hayā.ī hai
maiñ yahāñ huuñ vahāñ hai dil merā
nā-rasā.ī ajab rasā.ī hai
is tarah ahl-e-nāz naaz kareñ
bandagī hai ki ye ḳhudā.ī hai
paanī pī pī ke tauba kartā huuñ
pārsā.ī sī pārsā.ī hai
va.ada karne kā iḳhtiyār rahā
baat karne meñ kyā burā.ī hai
kab nikaltā hai ab jigar se tiir
ye bhī kyā terī āshnā.ī hai
'dāġh' un se dimāġh karte haiñ
nahīñ mālūm kyā samā.ī hai
Top Urdushayar.com